Monday, September 18, 2023

Yeh Tune Kya Kiya

Meri aankh ka aansu bhi
ab mera nahi raha hai

Yeh bhi tera hogaya hai

Bilkul meri Tarah
Mere har khayal ki Tarah
Meri har saas ki Tarah

Yaha pe na yaad aata hai voh gaana

Saari duniya se jeet ke mai aaya hu idhar
Tere aage hi mai haara kiya tune kya asar

Mai dil ka raaz kehta hu
Ki jab jab saasein leta hu
Tera hi naam leta hu
Yeh Tune Kya Kiya

No comments:

Post a Comment

Older Posts