Wednesday, August 23, 2023

Kya Mai Akela hi Rehjaunga

Mera sab kuch uske naam krna bhi pura nahi pada
Aur uska haske muskarana hi uska dil le gaya

Yeh kaisa insaaf kiya hai re ishwar tune
Samjh nahi paa raha hu kami kaha reh gyi

Mere karmo me toh nahi
Meri aankhon me toh nahi
Mere pyaar me toh nahi

Kyun mai Jahan se zyada chahkr bhi uske saath na aa paaya
Aur kyun voh ek hasi dikhakr uska sab kuch hogaya

Maarna hi tha toh kayi rastein the tere paas
Yun roz maar kr har subah zinda kyun kr deta hai

Iss duniya me aaya hu toh
Kya mujhe jeene ka hakk nahi
Kya mujhe pyaar ka hakk nahi


Kya mere sapne kabhi pure nahi honge
Kya mera akelapan kabhi dur nahi hoga

No comments:

Post a Comment

Older Posts